Ab ke hum bichre to shayad kabhi khwabon mai milein,,jis taraha sokhe huwe phool kitabon mai milein,,dhond ujre huwe logo main wafa ke moti,,ye khazane tujhe mumkin hai kharabon mai milein,,gham-e-duniya bhi gham-e-yaar main shamil kar lo,,nasha barhta hai sharabein jo shabon mai milein,,tu khuda hai na mera ishq farishton jaisa,,dono insan hain to kiyu itney hijabon mai milein,,aaj hum dar pe khanche gaye jin baton par,,kiya ajab kal woh zamane ko nasabon me milein,,ab na woh main hun na woh tu hai na woh mazi hai,,"Faraz"jaise do shakhs tamanna ke sarabon mai milein.