XtGem Forum catalog

Kabhi Mom Ban Ke
Kabhi mom ban ke pighal gaya,kabhi girte girte sambhal gaya..wo ban ke lamha guzar gaya,mere paas se nikal gaya..usey rokta bhi to kis tarha,ke wo shakhs itna ajeeb tha..kabhi tarap utha meri aah se,kabhi ashk se na pighal saka..sar-e-raah mila agar kabhi,to nazar chura ke guzar gaya..wo utar gaya meri aankh se,mere dil se kiyun na utar saka,?wo chala gaya jahan chhor ke,main wahan se phir na palat saka,wo sambhal gaya,"Faraz"magar main bikhar ke phir na simat saka.